SAMOSA RECIPE
Indian
fast food me samosa sab se jyada pasand kiye jana wala food hai,
Bazaar me samosa
dekhte hi hamare mooh me pani a jata hai .aj hum
Samose ki recipe
lekar aye hai , ki kaise aap tasty samose ghar per hi bana sakte hai.
INGREDIENTS (SAMAGREE) ( Indian
samosa recipe)
Maida - 2 cup
Oil -
jrurat anusaar
Kalonji - ½ chamach
Ajwain - ¼ chamach
Namak ½
chamach
Aloo - 4 uble hue
Hare matar – 1 cup
Hara dhaniya - 2 chamach
Jeera powder - ½ chamach
Hari mirch -
4-5
Daniya powder - ½ chamach
Haldi - ¼ chamach
Water -
jarurat anusaar
STEP -1 ( aloo samosa recipe)
Sabse pehle ek bowl
le usme maida kalonji,ajwain,namak aur 3 chamach
Oil daal kar achhi trah
mix kar le.
Isme ap thoda pani
dal kar achhi trah dough tyaar kar le. Ab atte par thoda oil
Laga de aur kapde se
dhak de.
STEP – 2
Ab gas par kadhai
rakhe, usme thoda oil daale . oil ko puri trah garam hone de .
Jab oil garam ho jaye
to gas medium flame par kar de.
Isme jeera daal de
aur 4-5 minutes tak pakaye phir matar daal de. Matar ko bhi
Pakaye.phir aap isme
aloo,hari dhaniya,hari mirch,jeera powder,ajwain ,
Namak ,haldi,powder
daal de. 4-5 minute tak pakaye phir gas band kar de.
STEP – 3
Ab gas per samose fry
karne ke liye oil rakhe. Atte ko ek baar phir acche
Se mix kar le ,10-12
loyia nikaal kar roti jaise bail le.phir beach me se adda
Kaat kar trikon akaar
bana le.aur usme tyaar ki gayi sabji masala daal de,
Aur upper se samose ka mooh band kar de. Ese hi saare
samose tyaar kar lene hai.
STEP
-4
Ab samose ko medium gas per fry kare . aur suehri hone tak pakaye .