GOL GAPPE KI RECIPE,PANI POORI KAISE
BANAYE
Ghar per
asani se Gol Gappe banana sikhe, bazaar jaise pani poori ap ghar per bhi bana
Sakte hai ,
soft aur kukure, ye bilkul asaan hai. App jab bhi chahe ise bana sakte hai.
INGREDIENTS
Suji – harf cup
Salt- 1 pich
Urad ki daal ka atta - 2 spoon
Maida - harf cup
STEP-1
Sabse pehle
ek bartan me suji, salt, urad ki daal ka atta, maida mila laye,
Uske baad
thoda -2 pani daal kar ache se gund le, diyan rakhe atte ko thoda tight
hi
rakhe . atte
ko gundne ke baad usko gile kapde se dhak dijiye. Atta ek dum chikna hona
chahiye.
Nahi to gollgape (pani poori) achhe se nahi phulegi.
STEP – 2
Ek plate per
thoda ghee laga de, aur atte ki chhoti-2 goliya bana le ,aur goliyo ko bilkul
Patla-patla
bail le aur poori bana kar ghee wali plate per rakhte jaye .aur uske uper gila
kapada
rakh
de.
STEP -3
Ab ham ek
kadai lenge .aur ghee ya oil dalkar usko gas per rakh denge. Ghee puri trah
garam
Karna hai
.ta ki jo hamare gollgape achhe se fry ho ske. Ghee garam hote hi pooriya ghee
me
ek-2 karke
dal deni hai ,aur ache se fry kr leni hai, Golgappe phul kar teyaar ho jaenge
.
STEP-4
Golgappe thande
hone per app ise uble huye kale chane ,uble allo ,piyaj bharker khate mithe
pani ke
sath serve kare.